jaisa kay is website kay naam say zahir hay rohanijismaniilaj.org is website mein aap ko rohani amliyat, rohani taweezat aur rohani wazaif milen gy. yaad rekhein kah insan kay dar asal do wajud hotay hein. aik zahiri wajud hay jisay hum jisam kahtay hein. aur aik batini wajud hota hay jisay hum rooh kahtay hein.
jab insan ki mout waqey hoti hay tou wo sirf zahiri wajud par waqey hoti hay. batini wajud par mout nahi aati. hamari rooh hamesha hamesha zinda rahti hay. hamara pura jisam hamari rooh par dependant hota hay. agar rooh sahi hay tou jisam bhi sahi ho ga. aur agar rooh bemar ho jay tou zahiri jisam bhi bemar ho jata hay.
jaisay hamaray zahiri jisam ki ghaza hoti hay khana peena, is ko neend chahiye hoti hay, waghera isi tarha rooh kay bhi taqazay hotay hein. rooh ki bhi ghaza hoti hay. hamari rooh Allah ki ibadat say taro taza rahti hay. is mein tawanai aa jati hay aur yah mushkil halat ka muqabla karnay ko tayyar ho jati hay.
is kay baraks jab hum gunah kartay hein tou us ka asar brah e raast hamari rooh par parta hay aur hamari rooh kamzor hona sharu ho jati hay. yah apni tawanai zaya karna sharu kar deti hay aur ahista ahista bemar hona sharu kar deti hay. jis kay nateejay mein hamaray zahiri jisam par bimariyan namudar ho jati hein.
bas is asool ko agar zehan mein rakh lein tou baat samajh mein aati hay kah kisi bhi zahiri jismani bimari ka ilaj rohani tareekay say mumkin hay. jaisay kah soora Al-Rehman ki tilawat sunanay say bohat si bimariyo ka ilaj sabit kia gaya hay. mazeed maloomat aur rahnumai kay liye neechay diye gy numbers par janab S.M Rizvi sahab say rabta karen.